jivatputrika vrat
जीवत्पुत्रिका व्रत

jivatputrika vrat  

Views : 5057 | November 2008
jivatputrika vrat vatputrika ka vrat mahilaen apne putron ke dirghayu ki kamna ke lie karti hain. yah vrat ashvin mas ke krishn paksh ki ashtami ke din rakha jata hai. vrati mahilaen nitya karm, snanadi se nivriÿa hokar bhagvan surya, raja jimutvahan adi ki puja karke prasad charhati hain. striyan nirjal upvas karke agli subah dahi chiure ka bhog laga kar danadi karke paran karti hain. katha hai ki jab mahabharat ka yuddh samapt ho gaya tha to pandvon ki anupasthiti men ashvatthama ne apne sathiyon ke sath unke sainikon v draupdi ke putron ka vadh kar diya tha. dusre hi din keshav ko sarthi banakar arjun ne ashvatthama ka picha kiya aur use kaid kar liya, lekin shrikrishn ke yah kahne par ki ‘brahmanon ka vadh nahin karna chahie’ arjun ne ashvatthama ka sir mundvakar chor daya. is ghatna se ashvatthama apmanit mahsus kar apna amogh astra abhimanyu ki patni uÿara ke garbh par chala diya. sthiti ko bhanpte hue shrikrishn ne sukshm rup dharan kar uÿara ke garbh men pravesh kiya aur amogh astra ko apne sharir par jhel liya. is tarah uÿara ke garbh men pal rahe shishu ki raksha ho gai. yahi putra age chalakar parikshit ke nam se prasiddh hua.
Kya aapko lekh pasand aaya? Subscribe



Kya aapko lekh pasand aaya? Subscribe

Ask a Question?

Some problems are too personal to share via a written consultation! No matter what kind of predicament it is that you face, the Talk to an Astrologer service at Future Point aims to get you out of all your misery at once.

SHARE YOUR PROBLEM, GET SOLUTIONS

  • Health

  • Family

  • Marriage

  • Career

  • Finance

  • Business


.