ayurvedik drishtikon ayurved granthon men tarh-tarah se ant utrne ke bare men likha gaya hai, jinse log aksar grast ho jate hain. udar gahnar men amashay, ant adi vibhinn ang hote hain aur jo bhojan nali amashay se gurde tak jati hai, vah kai sthanon se juri hoti hai tatha use udar ke hi parde ka sahara hota hai. ant utrne par, jab tak vah apne sthan par vapas nahin a jati, tab tak asvabhavikta ke karan kasht aur pira ka hona svabhavik hai, isse taklif bahut barh jati hai, khasakar us vakt, jab tak utri hui ant kisi tarah bhi apne sthan par vapas nahin a jati. kabhi-kabhi isse rogi ki mrityu bhi ho jati hai. harniya apne ap men rog nahin hai. yah ek matra udar ki divar ki nirbalata hai, jiske karan svasth evan nirog ant udar ki divar ki kamjor manspeshiyon men se marg pane par, niche khisak ati hain.
yadi uchit samay par upay karke udar ki divar ki in kamjor manspeshiyane ko sashakt kar dene men deri n ho, to ant utrna janleva nahin hota. harniya kabhi bhi, kisi ko bhi ho sakta hai. chote bachchon se lekar vriddh logon tak ko aisa ho sakta hai. sharir men harniya ka sabse pramukh sthan udar hai aur iske atirikt samanyatah banne vali harniya is prakar hai:- vankshan harniya (ingyunal harniya) is prakar ki harniya sadharntah do karnon se hoti hai- ek to udar ki divar ki manspeshiyane ki durbalata se, dusra bar-bar prasav prakriya se gujrne, kisi chot adi ke karan aur shalya-chikitsa se udar ke andar dabav ke ekadam atyadhik barh jane se, jaise purani khansi, kshay, dama adi, jor se khanste rahne, mal tyag men adhik jor lagane adi se ant udar divar ke kotar se sarak kar vankshani nalika men a jati hai. is prakar ki harniya prayah bari ayu valon ko hoti hai.
nabhi harniya (anbilik harniya) yah tin prakar ki hoti hai:
1. shaishav nabhi harniya: is prakar ki harniya men shishu ke khansne ya jor lagane par nabhi men se ek thaili si nikal ati hai. iska pramukh lakshan yah hai ki shishu ki nabhi spasht rup se ubhri hoti hai.
2. janmajat nabhi bahya harniya yah shishu men janm se hi hoti hai. samay par is harniya ki shalya-kriya n hone par kosh ke fatne ka dar rahta hai jo ghatak siddh hota hai.
3. vayaskon men parnabhi harniya is prakar ki harniya prayah adhik ayu ki moti striyon men unki nabhi ke upar ek choti thaili ke rup men shuru hoti hai.
yah harniya un striyon men bhi adhik hoti hai, jo kai bar garbhadharan aur prasav prakriya se gujrti hain. udar ki peti ki shalya-chikitsa dvara harniya ke kasht se chutkara mil jata hai. aurvi harniya: yah striyon aur purushon men saman rup se hi hoti hai. kintu purushon men yah vankshan harniya ki apeksha kafi kam hi hoti hai. yah harniya jor se khansne ya jor lagane par arvi nalika par ek ubhar ke rup men prakat ho jati hai.
iska saral upay shalya chikitsa hai. hayetas harniya: yah harniya adhikatar gras pranali men chidra se hoti hai, jiska karan chidra ka bara akar hona hai. yah harniya madhya ayu ke vyaktiyon men, visheshakar striyon men adhik hota hai. iske lakshan prayah anishchit tatha anya angon se sanbandhit pratit hote hain. lakshanahin hayetas harniya men chikitsa ki vishesh avashyakta nahin hoti. abhyantar harniya: yah harniya bahya rup men prakat nahin hoti, balki andar hi apratyaksh rup men paida hoti hai aur rogi ke jivan ke lie bhari jatiltaen paida karti hai.
iske lakshan kabhi-kabhi antra avrodh ke rup men bhi prakat hote hain jiska shalya chikitsa se hi upchar ho pata hai. harniya se bachav aur upchar: harniya ka ek matra safal upchar shalya chikitsa hi hai. parantu yadi harniya ka akar chota hai aur usse hone vale kasht sahniya hain, to ant ki peti bandhne aur bhojan sanbandhi savdhaniyan rakhne tatha kuch vyayam adi se aram a jata hai. ant ki peti harniya ki vriddhi aur vedna ko rokne ka ek yantrik sadhan hai. ise jahan tak sanbhav ho sake, har samay lagae rakhna chahie. keval sote samay, letne ke pashchat utar len.
harniya ke rogi ko gais, kabj ki shikayat n ho, iski savdhani rakhni chahie aur mal tyag ke samay ve adhik jor n lagaen. jor se khansna, vajan uthana, teji se daurna adi bhi varjit hai, rogi ki sthiti ko maddenajar rakhte hue anshik upvas karaen ya 5-7 din tak rogi ko ras-ahar ya fal-ahar dena chahie. bad men rogi ko dhire-dhire thos ahar par laen aur salad, ubli sabjiyan, fal mausam anusar sevan karaen. jyotishiya drishtikon jyotish ke anusar kal purush ki kundli men ant ka sanbandh shashth bhav aur kanya rashi se hai. kanya rashi ka svami budh hota hai aur shashth bhav ka karak grah mangal hota hai. islie shashth bhav, shashthesh, shashthakarak mangal, budh, lagn, lagnesh jab dushprabhavon men rahte hain, to anton se sanbandhit rog hote hain, jinmen harniya rog bhi shamil hai. sharir men harniya udar ke upri bhag se lekar udar ke nichle bhag tak kahin bhi ho sakti hai.
kal purush ki kundli men pancham aur saptam bhav bhi shamil hai. islie in bhavon ke svami aur karak grahon ka nirbal hona udar men us sthan ko darshate hain jis bhag men harniya hoti hai. harniya rog ant ke udar ki divar ke kotar se bahar niklne se hota hai jise ant ka utrna bhi kahte hain. udar ki divar ki nirbalata ke karan ant apne sthan (kotr) se bahar nikalakar niche ki taraf utar jati hai. aisa uparyukt bhav, rashi evan grahon ke dushprabhav aur nirbalata ke karan hota hai.
jab in grahon ki dasha-antardasha rahti hai aur sanbandhit grah ka gochar viprit rahta hai to harniya rog hota hai.
vibhinn lagnon men harniya rog mesh lagna: lagnesh mangal saptam bhav men surya se ast ho, shashthesh budh rahu se yukt ya drisht shashth bhav men ho aur shani lagn, pancham ya dasham bhav men ho to harniya rog ya udar men anton se sanbandhit rog hota hai.
vrish lagna: lagnesh evan shashthesh shukra ashtam bhav men guru rahu se yukt ya drisht, shashth bhav men panchmesh budh, saptam bhav men shani se yukt ho to harniya jaisa rog hota hai.
mithun lagna: mangal pancham, shashth ya saptam bhav men rahu ya ketu se drisht ya yukt ho, budh ast ho, guru shashthesh se yukt ya drisht ho to jatak ko harniya jaise rog ka samna karna parta hai.
kark lagna: lagnesh chandra budh se yukt hokar shashth bhav men ho aur rahu-ketu ki drishti men ho, shukra pancham ya saptam bhav men ho aur shani se yukt ya drisht ho to harniya rog ho sakta hai.
sinh lagna: budh shashth bhav men, panchmesh guru aur navmesh mangal rahu ya ketu se yukt hokar saptam bhav men ho, shukra ashtam bhav men ho to jatak ko harniya rog deta hai.
kanya lagna: mangl-guru ek- dusre se yukt ya drisht shashth bhav men ho, budh-surya saptam bhav men,rahu-ketu, shashth ya ashtam bhav men ho to harniya jaisa rog ho sakta hai.
tula lagna: guru shashth bhav men rahu evan mangal se yukt ho, shani budh saptam bhav men ho aur shukra ast ho to harniya rog hota hai.
vrishchik lagna: budh shashth bhav men rahu se yukt ya drisht ho, mangal ashtam bhav men, surya saptam bhav men evan chandra lagn men ho to harniya jaisa rog hota hai.
dhanu lagna: budh-shukra shashth bhav men, surya saptam bhav men mangal se yukt ho, rahu-ketu dasham bhav men ho to jatak ko harniya jaisa rog hota hai.
makar lagna: guru shashth bhav men ketu se yukt ya drisht ho, budh saptam bhav men shukra se yukt, shani chaturth bhav men chandra se yukt ho to jatak ko harniya ho sakta hai.
sevaen: vashikaran, upri badha, kam bandhan kholna, pitri dosh, kal sarp dosh shanti, grah badha shanti, tantrik anushthan, jap, havan tatha karmakand evan mahamrityunjay evan gayatri jap ke lie sanpark karenah rajeshvar dati ji maharaj- fon: 9212120817, 8447200669 e-32-e, javahar park, devli rod, nayi dilli-62 kanpyutar janmakshar vishva prasiddh saeftaveyar liyo gold dvara nirmit - navjat shishuon ke liye bhagyashali nam evan nakshatrafal - vivah ke lie kundli milan - lal kitab ke saral upay - ankshastra - estrograf evan prashnafal not: yahan fyuchar paeint ki jyotishiya samagri bhi milti hai.
sanparka: kusum garg, ballabh vidyanagar, durbhash: 02692-237568, 09327744699
kunbh lagna: guru shashth bhav men budh se yukt evan rahu se drisht ho, shukra saptam bhav men surya se ast ho to jatak ko harniya rog ka samna jivan men karna parta hai.
min lagna: shukra shani shashth bhav men rahu ya ketu se yukt ya drisht ho, chandra mangal saptam bhav men, budh pancham bhav men ho, lagnesh guru ast ho to jatak ko harniya rog ho sakta hai. uprokt sabhi yog se rog ka samay sanbandhit grahon ki dasha, antardasha evan gochar sthiti se janna chahie. rog avdhi bhi isi tarah se janen. rog sanbandhit grahon ki dasha evan gochar ke viprit rahte apni charam sima par hota hai. iske uprant rog se rahat milti hai.